16: Jab aap log ye bhi samajhtay hain k Allaah Ta’ala nay Nabi Kareem (sallallahu alayhi wasalam) ko shafi’ banaya hai phir aap ye mannay ke liye tayyar kyon nahi k “Ya Rasool Allaah maddad” kehna shirk nahi?

16: جب آپ لوگ یہ بھی سمجھتے ہیں کہ اللہ تعالی نے نبی کریم ﷺ کو شفیع بنایاہے پھر آپ یہ ماننے کیلئے تیار کیوں نہیں کہ یا رسول اللہ مدد کہنا شرک نہیں؟

Shubha number 5 “Kya tum Nabi Kareem (sallallahu alayhi wasalam) ki Shifa’at k munkar ho? Hum to Nabi Kareem (sallallahu alayhi wasalam) ko Shafi’ maantay hain aur jub hum kehtay hain ‘Ya Rasool Allaah madad’ haqeeqatan hum ye kehtay hain k Ya Rasool Allaah aap hamaray shafi’ hain. Aap Allaah ta’ala k yahan hamari shafa’at kar dein. Hamara maqsad to ye hota hai bus. Jub aap log ye bhi samajhtay hain k Allaah Ta’ala nay Nabi Kareem (sallallahu alayhi wasalam) ko shafi’ banaya hai phir aap ye mannay ke liye tayyar kyon nahi k Ya Rasool Allaah maddad kehna shirk nahi?”

شبہہ نمبر:5۔ ” کیا تم نبی کریم ﷺ کی شفاعت کے منکر ہو؟ ہم تو نبی کریم ﷺ کو شفیع مانتے ہیں اور جب ہم کہتے ہیں ” یا رسول اللہ مدد” حقیقتا ہم یہ کہتے ہیں کہ یا رسول اللہ آپ ہمارے شفیع ہیں آپ اللہ تعالی کے ہاں ہماری شفاعت کردیں ہمارا مقصد تو یہ ہوتا ہے بس، جب آپ لوگ یہ بھی سمجھتے ہیں کہ اللہ تعالی نے نبی کریم ﷺ کو شفیع بنایاہے پھر آپ یہ ماننے کیلئے تیار کیوں نہیں کہ یا رسول اللہ مدد کہنا شرک نہیں؟۔ “