11: Kashf ush Shubuhaat – Teesri Bari Ghalaat Fehmi

11: کشف الشبہات: تیسری بڑی غلط فہمی

• Teesri Bari Ghalaat Fehmi: Wo Kehtay Hain Ki Kuffar Butoon Ki Pooja Kartay Thay Aur Unsey Mangtay Bhi Thay. Jabkey Hum Iss Baat Ka Iqraar Kartay Hain Ki Nafaa Wa Nuqsaan Ka Maalik Aur Kainaat Ka Mudabbir Sirf Allah Ta’ala Hai. Hum Usi Say Mangtay Hain, Awliya Wa Salayheen Ko Iss Baat Ka Ikhtiyaar Hasil Nahi Hai. Lekin Hum Iss Liye UnKi Taraf Rujoo Kartay Hain Ki Wo Allah Kay Yahan Hamari Sifarish Karengey

تیسری بڑی غلط فہمی: وہ کہتے ہیں کہ کفار بتوں کی پوجا کرتے تھے اور ان سے مانگتے بھی تھے۔ جب کہ ہم اس بات کا اقرار کرتے ہیں کہ نفع ونقصان کا مالک اور کائنات کا مدبر صرف اللہ تعالی ہے۔ ہم اسی سے مانگتے ہیں، اولیاء و صالحین کو اس کا اختیار حاصل نہیں ہے۔ لیکن ہم اس لیے ان کی طرف رجوع کرتے ہیں کہ وہ اللہ کے ہاں ہماری سفارش کریں گے۔