09: Kashf ush Shubuhaat – Pehli Bari Ghalat Fehmi

09: کشف الشبہات - پہلی بڑی غلط فہمی

• Pehli Bari Ghalat Fehmi: Wo Kahtay Hain Hum Allah Kay Saath Shirk Nahi Kartay BalKay Iss Baat Ki Shahadat Daytay Hain Ki Khaliq Wa Raaziq Aur Nafaa Wa Nuqsaan Ka Maalik Sirf Allah Ta’ala Hai. Aur Ye Ke Bhi Muhammad(sallallahu alaihi wasallam) Bhi Apnay Nafaa Wa Nuqsaan Kay Maalik Nahi, Che jaya Ke Abdul Qadir Ya Doosray Buzurg Hon. Lekin Kyunke Hum Gunahgaar Hain Aur Buzurgoon Ka Allah Ta’ala Ka Yahan Muqaam wa Martabaa Hai, Iss Liye Unkay Wastay Say Hum Allah Ta’ala Say Sawaal Kartay Hain.

پہلی بڑی غلط فہمی: وہ کہتے ہیں ہم اللہ کے ساتھ شرک نہیں کرتے بلکہ اس بات کی شہادت دیتے ہیں کہ خالق ورازق اور نفع ونقصان کا مالک صرف اللہ تعالی ہے۔ اور یہ کہ بھی محمد(صلی اللہ علیہ وسلم) بھی اپنے نفع ونقصان کے مالک نہیں، چہ جائیکہ عبد القادر یا دوسرے بزرگ ہوں۔ لیکن چونکہ ہم گناہ گار ہیں اور بزرگوں کا اللہ تعالی کے ہاں مقام ومرتبہ ہے، اس لیے ان کے واسطے سے ہم اللہ تعالی سے سوال کرتے ہیں