010. Sharh us Sunnah – Point No 7
010. شرح السنة - پوائنٹ نمبر 7
• (دین میں) نئے کاموں سے بچو، اگر چہ وہ معمولی ہی کیوں نہ ہوں، کیونکہ چھوٹی بدعات بڑھتے بڑھتے بڑی بن جاتی ہیں، اسی طرح اس امت میں جو بھی بدعت ایجاد ہوئی وہ شروع میں چھوٹی اور حق کے مشابہ تھی، جس سے اس میں داخل ہونے والے دھوکہ کھا گئے اور پھر اس سے نکل نہ سکے، پھر چھوٹی بدعت بڑی ہوگئی اور ایک دین بن گئی، جس کی پیروی کی جانے لگی، جس کی وجہ سے (اس میں داخل ہونےوالوں نے) صراط مستقیم کی مخالفت کی اور اسلام سے نکل گئے۔
• (deen mein) naye kamo se bacho, agarchey wo mamooli hi kyun na ho, kyunke choti ﺑﺪﻋﺎﺕ barhtay barhtay badi ban jaati hain, isi tarha iss ummat mein jo bhi biddat ijaad huwi wo shuru mein choti aur haq ke mushaba thi, jis se uss mein dakhil honay walay dhoka kha gaye aur phir uss se nikal na sakay, phir choti biddat badi hogayi aur aik deen ban gayi, jis ki pairwi ki jane lagi, jis ki wajah se (uss mein daakhil honay walon ne ) Siraat e mustaqeem ki mukhalifat ki aur islam se nikal gaye.