Sharh us Sunnah Point No: 7

شرح السنة پوائنٹ نمبر 7

( deen mein ) naye kamon se bachcho, agar chay woh mamooli hi kyun nah hon, kyunkay choti ﺑﺪﻋﺎﺕ barhatay barhatay barri ban jati hain, isi terhan is ummat mein jo bhi bidat ijaad hui woh shuru mein choti aur haq ke mushaba thi, jis se is mein daakhil honay walay dhoka kha gaye aur phir is se nikal nah sakay, phir choti bidat barri hogayi aur aik deen ban gayi, jis ki pairwi ki jane lagi, jis ki wajah se ( is mein daakhil honay walon ne ) Siraat mustaqeem ki mukhalfat ki aur islam se nikal gaye

(دین میں) نئے کاموں سے بچو، اگر چہ وہ معمولی ہی کیوں نہ ہوں، کیونکہ چھوٹی بدعات بڑھتے بڑھتے بڑی بن جاتی ہیں، اسی طرح اس امت میں جو بھی بدعت ایجاد ہوئی وہ شروع میں چھوٹی اور حق کے مشابہ تھی، جس سے اس میں داخل ہونے والے دھوکہ کھا گئے اور پھر اس سے نکل نہ سکے، پھر چھوٹی بدعت بڑی ہوگئی اور ایک دین بن گئی، جس کی پیروی کی جانے لگی، جس کی وجہ سے (اس میں داخل ہونےوالوں نے) صراط مستقیم کی مخالفت کی اور اسلام سے نکل گئے